I've been rearranging letters for recreation and recompense since I was 10. there hasn't been any money yet, but I'm keeping the faith.

Saturday, December 17

Ajab Khel

Zindagi bhi aik ajab khel hai mere dost
Kab chaal chalti hai pata nahin chalta
kab paasa palatta hai, yeh kohi nahin jaanta

Aaj mein apni ek aisi dost se
wapas mila jise meine chaar saal se nahin dekha hai

In chaar saalon mein
mere dimaag nein apni khud ki kahaniyan bicha daalin
mere dil mein aik aahat si bhait gaye..
ke bas..
isi ke saath, isi ke saath marna hai aur jeena hai, isi ke saath
hun mein, rahunga mein
mere dil ne apne aapse baatein kar kar ke, apne aap ko mana liya

aur aaj jab hum mile
itni khushi se mile, itne pyaar se mile
par sirf dosti mein mile

aur aaj mein yahaan khada hun
sach mere saamne
lekin phir bhi munh pe muskaan hai
ek zinda insaan, ek mari hui rooh

phir bhi chehre pe muskaan hai
zindagi bhi aik ajab khel hai doston