Uska Jadoo
Woh kaun thi?
tamam shehar uske husn mein
gum tha
woh kya gayee
ke phir to mustakil
khiza ka mausam tha.
woh khwab thi, khushboo thi
kya thi woh?
- Junaid Jamshed
Aaj usko ek nazar phir dekha. Woh bhi kya din the jab uske khwab raat din mujhe sataate the. Apne aap se jhoot bol bol ke maine uski tasveer apne dimaag o dil se bahar nikaal di. Ek woh bhi din the jab mein sheeshe pe khada hokar apne aap se behes karta tha, samjhata tha apne aapko ke uska aur mera milan nahi hoga, nahi ho sakta.
Aaj ek nazar dekha use. Phir wohi behes shuroo hogayee, wohi kahani apne aap likhne lagi. Abhi to nazrein mili theen, aur usne nazar churali, abhi to sanns ruki thi, aur usne dil ki dadhkan bada di- kya kamal hai uske husn ka. Saalon baad mulakat hui, lekin jab woh jaane lagi to maine naa roka- kya kamal hai uski chaal mein, hawa ko palat de. Kya kehta hai shaayar? Teri kamar ke bal pe nadi mudra karti thi, hansee teri sun sun ke phasal paka karti thi. Gulzar, shayad.
Ab padpada raha hun, lekin uske saamne ek lafz na bol saka. Yeh hai uska jadoo mujh par, ke meri bhi zaban ruk jaati hai, mein bhi apne kadam ginne lagta hun. Kya ada hai ke mujh jaise nikamme ko bhi tameez sikha de, kya shakhsiyat hai ke mujh jaise ko bhi insaan kahne layak bana de.
Woh kya kehta hai Jack Nicholson us film mein? You make me want to be a better man. Yeh hai uska jaado mujh pe.
<< Home