Isi hausle pe jee raha hoon
Bas uska intezaar hai,
varna to har kuch kiya rakha hai
Har raat diye se jalai rakhi hai
har hawa se shart lagaye rakhi hai
Jaane kahan se mera dost guzre,
har gali phoolon se sajayi rakhi hai
Uski narm saanson ne
apni garm lehron mein mujhe lipat rakha hai
Uske bin din nahin kat te,
yahan zindagi se wada kiya rakha hai
Kaafi kuch bol ke bhi
zabaan pe lagaam lagaye rakha hai
Iss dil ke har mod ne
bas ushi ka tassavur thaam rakha hai
Uske har aansoon ke liye,
aik phaansi baand rakhi hai
Har woh baat jo kehni hai usse,
uske liye likhi rakhi hai
Baatein sun ke meri,
woh bas ek bar hans de to-
banda yeh soch ke mar jaye,
ke hamare liye bhi Allah ne
jannat mein ek maqam rakha hai
<< Home